Final ka Janoon... Pakistan Srilanka Ki Baazi

Aaj Pakistan or Srilanka ki Final baazi hai logo ki bari umeedain Pakistan se wabasta hain khas tor se Shahid Khan Afridi se jinhonay ne guzishta matches mai apni behtreen kaarkardagi se Pakistan ko wazay Fatah dilai or Shaiqeen k Dil jeet liay. Jesay jesay final ka waqt qareeb ara hai logo k jazbay or janoon mai izafa hota ja ra hai. Her taraf cricket ki he batain sunai de rahi hain. Pakistan k mukhtalif cenima gharon, universities or malls mai match dekhnay ka intezam kia ja chuka hai.
Pakistan ki qom ki tou dua hai k Pakistan he ICC ka Champion banay saath he saath totay mia ne bhi Pakistan k Haq mai he faal chun li hai. Ab Dekhna hai k Totay mia ki Faal durust hoti hai or Pakistani qom ki duain rang lati hain ya Srilanka k jadoogaron ka jadoo apna kaam dikhayga.
Pakistan 2 bar Aisa Cup ko Jeet Chuka hai jab k Srilanka 4 Bar Asia cup apnay naam kerchuka hai ab dekhna ye hai k Srilanka Panchvi bar Asia Cup apnay naam kernay mai kamiyab hoga ya Pakistani Shaheen Teesri bar Asia Cup Pakistan laingay.
bowlng or fieldng side dono wek theen but bating side superb jeet ki omeed chorni nhi chahiy insha allah allah kamyabi ata farmaain gae ameen best off luck for future paki team
ReplyDelete