LOG AUR UNKI SHIKAYAAT
Pakistan jaisay mulk main shayad sab say asaan kaam shikayat karna hi reh gaya hai.dosroon par ungli uthana aur sirf doosri ki zemadariyon ka ehsas dilana mehez apna fareeza bana lia hai. aur dosron ko yaad dehani karani apni zemedari samhaj li hai.aisay main khud ki asal zemadari kya hai kisi ko nahi pata aur na hi koi janna cahta hai.kyu k agar jaan lia aur zahir kardia k hamein pata hai tw phir wo kaam karna par jaeyga.lehaza la-talluqi ka izhaar hi aqalmandi hai.
sab say pehlay hukoomat ko har baat ka zemedar therana,kya har maslay ka hal yahi hai k hukoomat ko qusoor waar thera k apnay haath jhar lein aur alag hojaein.. is say khud apnay ooper baat b nahi aeygi aur hum sahi sabit hojaeygy.. daraal sab say bari ghalti tw hamari yani awaam ki hi hai.k kya kisi nay ecection main apna vote cast karty waqt ye socha k mis jis party k karkun ko vote dy raha hoon kya wo us vote k qabil hai? aya wo apni zemedarion ko poora karyga? tw phir hum kon hotay hain jo kal ko unhi leaders say shikayat karein. hamara amal is baat ki ijazat nai deta
dosri misaal agar hum school,colleges aur universities ki lein tw baaz talib-e-ilmo ki shikayat ye hoti hai k ustaad hum pay tawajja nahi deta. kabhi is pay ghor kar k dekha k agar aisa hai b tw kyu hai. kya ap apni parhai usi tarhan wafadar hain jis tarhan say ap apnay ustaad ko uskay kaam say wafadari karnay k sochty hain?har maslay main doosray ko qusoor waar theranay say pehlay apny gireban main jhank k zaroor dkh lena caheye
Hamay apni har zemadari aur ghalti ka dosray ko qusoorwaar theranay k itni adat hogai hai k hum is cheez ko samhajty b nai hain bus haar kaam apnay faiday k liye karty chalay jaty hain.agar hum apni masroof tareen zindagi main say kuch pal nikal kar ye soch lein k kya hum sahi hain? aya hamara rad-e-amal durust hai tw yaqeena poora PAKISATN nahi tw adha PAKISTAN tw sahi hojaey.shayad aisi hi baton k liye ye ye muhawra bana hoga k "UMEED PAY DUNIYA QAIM HAI"
No comments:
Post a Comment