Wazir a Aala Punjab Janab Shehbaz Sharif sahab ne 2011 mai ek scheme launch ki thy laptop scheme k naam se jis scheme k tehat unhonay Punjab mai merit k hisab se 75% se zaid numbers lanay per talib a ilmo mai laptop taqseem kiay. Un ka kehna tha k laptop talib a ilmo ki taleemi sargarmio mai ek behtreen rehnuma sabit hoga. 2011 k bad 2014 mai ek bar phr is scheme k tehet laptop taqseem kiay jangay.
Hum maantay hain k laptop taleem k liay bunyadi zaroorat hai lakin hamaray mulk mai is waqt bht see bunyadi cheezon ki zaroorat hai. Laptop k bajaay ager Shehbaz Sharif Sahab Punjab k he doosray ilaqon mai logo ki bunyadi zarooriat ko poora kerain jesay k Punjab k kuch ilaqo mai bijli ka nizam darham barham hai us ko behter bananay ki koshish kerain Taleemi nizam ka pooray Pakistan mai he bht bura haal hai ager Wazir a Aala sahab us taraf apni nazar a karam kerain tw ye pooray Pakistan k liay ek Behtreen qadam hoga.
Laptops deney se talib a ilmo k ilm mai tw izafa hoga mager school bananay se talib a ilmo mai izafa hoga. Is waqt Pakistan ko laptop ki nai balkay talib a ilm ki zaroorat hai. Kisi siyanay ne kaha hai "Talib a ilm apni qom ka mustaqbil hota hai."

correct bola agr i totally agree with u agr schools pr tawajja dain tu shaoor bedaar ho taake khudkoshyoon main kmi ae
ReplyDeleteblkul is waqt Pakistan mai Schools ki zaroorat ziayda hai.
ReplyDelete